KHamoshiyon mein bahut se sawal laya hai
ḳhamoshiyoñ meñ bahut se savāl laayā hai
shikāyatoñ ke liye ruḳh nikāl laayā hai
ye keh ke us ne mujhe hairatoñ meñ Daal diyā
vo mere biite hue māh-o-sāl laayā hai
zarā sī der meñ sadiyoñ kā ban gayā zāmin
ye kis mizāj kā harf-e-kamāl laayā hai
ab us ke aage tumheñ hairateñ batā.ūñ bhī kyā
ḳhushī kā lamha bhī ranj-o-malāl laayā hai
mujhe patā na chalā ye ki merā mohsin bhī
varaq pe sone ke likh kar zavāl laayā hai
bisāt-e-ishq meñ 'aslam' ye kaise maat huī
kahāñ kahāñ se vo mohre nikāl laayā hai
KHamoshiyon mein bahut se sawal laya hai
shikayaton ke liye ruKH nikal laya hai
ye keh ke us ne mujhe hairaton mein Dal diya
wo mere bite hue mah-o-sal laya hai
zara si der mein sadiyon ka ban gaya zamin
ye kis mizaj ka harf-e-kamal laya hai
ab us ke aage tumhein hairaten bataun bhi kya
KHushi ka lamha bhi ranj-o-malal laya hai
mujhe pata na chala ye ki mera mohsin bhi
waraq pe sone ke likh kar zawal laya hai
bisat-e-ishq mein 'aslam' ye kaise mat hui
kahan kahan se wo mohre nikal laya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.