KHanjar ki tarah bu-e-saman tez bahut hai
ḳhanjar kī tarah bū-e-saman tez bahut hai
mausam kī havā ab ke junūñ-ḳhez bahut hai
raas aa.e to hai chhāñv bahut barg o shajar kī
haath aa.e to har shāḳh samar-rez bahut hai
logo mirī gul-kāri-e-vahshat kā sila kyā
dīvāne ko ik harf-e-dil-āvez bahut hai
mun.im kī tarah pīr-e-haram piite haiñ vo jaam
rindoñ ko bhī jis jaam se parhez bahut hai
maslūb huā koī sar-e-rāh-e-tamannā
āvāz-e-jaras pichhle pahar tez bahut hai
'majrūh' sune kaun tirī talḳh-navā.ī
guftār-e-azīzāñ shakar-āmez bahut hai
KHanjar ki tarah bu-e-saman tez bahut hai
mausam ki hawa ab ke junun-KHez bahut hai
ras aae to hai chhanw bahut barg o shajar ki
hath aae to har shaKH samar-rez bahut hai
logo meri gul-kari-e-wahshat ka sila kya
diwane ko ek harf-e-dil-awez bahut hai
munim ki tarah pir-e-haram pite hain wo jam
rindon ko bhi jis jam se parhez bahut hai
maslub hua koi sar-e-rah-e-tamanna
aawaz-e-jaras pichhle pahar tez bahut hai
'majruh' sune kaun teri talKH-nawai
guftar-e-azizan shakar-amez bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.