KHanjar ko KHanjar kahna hai
ḳhanjar ko ḳhanjar kahnā hai
aisā ab aksar kahnā hai
sahme sahme Dare hue ho
Dar ko bhī ab Dar kahnā hai
shīshoñ ke is shahar meñ aa kar
patthar ko patthar kahnā hai
khetoñ meñ hal le kar niklo
banjar ko banjar kahnā hai
jañgal meñ tum sab ko jā kar
bandar ko bandar kahnā hai
sardī ke hī mausam meñ to
be-ghar ko be-ghar kahnā hai
ajab chalan hai na.e shahar kā
zālim ko bhī sar kahnā hai
KHanjar ko KHanjar kahna hai
aisa ab aksar kahna hai
sahme sahme Dare hue ho
Dar ko bhi ab Dar kahna hai
shishon ke is shahar mein aa kar
patthar ko patthar kahna hai
kheton mein hal le kar niklo
banjar ko banjar kahna hai
jangal mein tum sab ko ja kar
bandar ko bandar kahna hai
sardi ke hi mausam mein to
be-ghar ko be-ghar kahna hai
ajab chalan hai nae shahar ka
zalim ko bhi sar kahna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.