KHanjar na kisi tir na talwar se hoga
ḳhanjar na kisī tiir na talvār se hogā
jab hogā mirā qatl to bas pyaar se hogā
ik dūsre kā haal samajh pā.eñge behtar
bīmār kā jab rābta bīmār se hogā
aa jā.egī apnī tujhe auqāt samajh meñ
jab sāmnā terā mirī raftār se hogā
patvār se ho jā.egī us vaqt mohabbat
Takrāo tirā jab kabhī majdhār se hogā
dushman meñ kahāñ dam ki mirā kuchh bhī bigāḌe
nuqsān to apne hī kisī yaar se hogā
KHanjar na kisi tir na talwar se hoga
jab hoga mera qatl to bas pyar se hoga
ek dusre ka haal samajh paenge behtar
bimar ka jab rabta bimar se hoga
aa jaegi apni tujhe auqat samajh mein
jab samna tera meri raftar se hoga
patwar se ho jaegi us waqt mohabbat
Takrao tera jab kabhi majdhaar se hoga
dushman mein kahan dam ki mera kuchh bhi bigaDe
nuqsan to apne hi kisi yar se hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.