KHanjar ne hi chhoDa tha na marne mein guman aur
ḳhanjar ne hī chhoḌā thā na marne meñ gumāñ aur
kyoñ laa.e mire qatl ko vo tīr-o-kamāñ aur
kam-zarf kabhī josh-e-mohabbat meñ laboñ par
karte haiñ himāqat to ubhartā hai nishāñ aur
be-ḳhauf-o-ḳhatar aa ke jahāñ sote hoñ Dangar
kyā mere makāñ sā hai koī ḳhasta makāñ aur
doctor ne kahā muñh meñ mire aalā lagā kar
aañ aañ se miyāñ kījiye bāhar ko zabāñ aur
ham bhī to zarā dekheñ bahut kahte haiñ 'ġhālib'
le ā.eñge bāzār se jā kar dil-o-jāñ aur
haiñ aur bhī duniyā meñ hazal-go bahut achchhe
kahte haiñ ki hai 'rāz' kā andāz-e-bayāñ aur
KHanjar ne hi chhoDa tha na marne mein guman aur
kyon lae mere qatl ko wo tir-o-kaman aur
kam-zarf kabhi josh-e-mohabbat mein labon par
karte hain himaqat to ubharta hai nishan aur
be-KHauf-o-KHatar aa ke jahan sote hon Dangar
kya mere makan sa hai koi KHasta makan aur
doctor ne kaha munh mein mere aala laga kar
aan aan se miyan kijiye bahar ko zaban aur
hum bhi to zara dekhen bahut kahte hain 'ghaalib'
le aaenge bazar se ja kar dil-o-jaan aur
hain aur bhi duniya mein hazal-go bahut achchhe
kahte hain ki hai 'raaz' ka andaz-e-bayan aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.