KHanjar se kuchh hai kaam na shamshir se gharaz
KHanjar se kuchh hai kaam na shamshir se gharaz
Aashiq Husain Bazm Afandi
MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi
ḳhanjar se kuchh hai kaam na shamshīr se ġharaz
dil ko to us nigāh ke hai tiir se ġharaz
rakhte haiñ ham valī na kisī piir se ġharaz
gar hai to apne shappar-o-shappīr se ġharaz
duniyā ke log rakhte haiñ tadbīr se ġharaz
ham ko hai apne mālik-e-taqdīr se ġharaz
naqshe hazār laakh muraqqā koī dikhā.e
rakhte haiñ ham to yaar kī tasvīr se ġharaz
kis ke rafīq shahr kahāñ kā kahāñ kā ghar
hai vahshiyoñ ko ḳhāna-e-zanjīr se ġharaz
daulat ko laat maar ke baiThe haiñ ḳhaak par
kyā tere ḳhāksāroñ ko iksīr se ġharaz
Thahrā.eñ ġhair ko to ḳhatāvār kis liye
un ko to ik hai 'bazm' kī ta.azīr se ġharaz
KHanjar se kuchh hai kaam na shamshir se gharaz
dil ko to us nigah ke hai tir se gharaz
rakhte hain hum wali na kisi pir se gharaz
gar hai to apne shappar-o-shappir se gharaz
duniya ke log rakhte hain tadbir se gharaz
hum ko hai apne malik-e-taqdir se gharaz
naqshe hazar lakh muraqqa koi dikhae
rakhte hain hum to yar ki taswir se gharaz
kis ke rafiq shahr kahan ka kahan ka ghar
hai wahshiyon ko KHana-e-zanjir se gharaz
daulat ko lat mar ke baiThe hain KHak par
kya tere KHaksaron ko iksir se gharaz
Thahraen ghair ko to KHatawar kis liye
un ko to ek hai 'bazm' ki tazir se gharaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.