KHarab-e-ishq sahi aalam-e-shuhud mein hun
ḳharāb-e-ishq sahī ālam-e-shuhūd meñ huuñ
huuñ ashk ashk magar apne hī vajūd meñ huuñ
kisī ne naġhmoñ meñ tahlīl kar diyā hai mujhe
na gungunāo ki maiñ parda-e-surūd meñ huuñ
tū apnī zaat se mujh ko alag na jaan ki maiñ
tire jamāl kī nik.hat ke tār-o-pūd meñ huuñ
hazār rañg meñ dekhā hai mujh ko duniyā ne
azal se tā-ba-abad nashsha-e-varūd meñ huuñ
ḳhud apnī zaat kā irfāñ na ho sakā mujh ko
abhī maiñ kashmakash-e-dām-e-hast-o-būd meñ huuñ
KHarab-e-ishq sahi aalam-e-shuhud mein hun
hun ashk ashk magar apne hi wajud mein hun
kisi ne naghmon mein tahlil kar diya hai mujhe
na gungunao ki main parda-e-surud mein hun
tu apni zat se mujh ko alag na jaan ki main
tere jamal ki nikhat ke tar-o-pud mein hun
hazar rang mein dekha hai mujh ko duniya ne
azal se ta-ba-abad nashsha-e-warud mein hun
KHud apni zat ka irfan na ho saka mujh ko
abhi main kashmakash-e-dam-e-hast-o-bud mein hun
- Book : Pakistani Adab (Pg. 483)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.