KHarab-haal hain lekin sanbhal bhi sakte hain
ḳharāb-hāl haiñ lekin sañbhal bhī sakte haiñ
ye hādsāt ke advār Tal bhī sakte haiñ
tire halīf haiñ lekin maiñ in ko jāntā huuñ
ye zar-ḳharīd achānak badal bhī sakte haiñ
ye baat kar ke vo har baar Taal detā hai
kuchh ehtiyāt kareñ aap jal bhī sakte haiñ
zamīñ kī pyaas bujhāte hue hasīñ bādal
kisī ġharīb kī kuTiyā nigal bhī sakte haiñ
hamāre zabt ke bā'is ruke hue aañsū
mazīd dard milā to nikal bhī sakte haiñ
ye raaz mujh pe use dekh kar khulā 'abbās'
ki phuul bol bhī sakte haiñ chal bhī sakte haiñ
KHarab-haal hain lekin sanbhal bhi sakte hain
ye hadsat ke adwar Tal bhi sakte hain
tere halif hain lekin main in ko jaanta hun
ye zar-KHarid achanak badal bhi sakte hain
ye baat kar ke wo har bar Tal deta hai
kuchh ehtiyat karen aap jal bhi sakte hain
zamin ki pyas bujhate hue hasin baadal
kisi gharib ki kuTiya nigal bhi sakte hain
hamare zabt ke ba'is ruke hue aansu
mazid dard mila to nikal bhi sakte hain
ye raaz mujh pe use dekh kar khula 'abbas'
ki phul bol bhi sakte hain chal bhi sakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.