KHarab-o-KHasta sahi saeban banaya hai
ḳharāb-o-ḳhasta sahī sā.ebāñ banāyā hai
muzāf-e-shahr meñ ham ne makāñ banāyā hai
kabhī rahā hī nahīñ mausamoñ se paivasta
na.e mizāj kā ik gulsitāñ banāyā hai
kisī ke vāste firdaus hai ye sayyāra
hamāre vāste āzār-e-jāñ banāyā hai
hudūd-e-vaqt meñ mahdūd kar ke insāñ ko
ḳhud apne vāste kyuuñ lā-makāñ banāyā hai
gar iḳhtilāf thā 'manzar' to bhī bayāñ karte
zarā sī baat ko kyuuñ dāstāñ banāyā hai
KHarab-o-KHasta sahi saeban banaya hai
muzaf-e-shahr mein hum ne makan banaya hai
kabhi raha hi nahin mausamon se paiwasta
nae mizaj ka ek gulsitan banaya hai
kisi ke waste firdaus hai ye sayyara
hamare waste aazar-e-jaan banaya hai
hudud-e-waqt mein mahdud kar ke insan ko
KHud apne waste kyun la-makan banaya hai
gar iKHtilaf tha 'manzar' to bhi bayan karte
zara si baat ko kyun dastan banaya hai
- Book : Dunya Zaad (Pg. 122)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.