KHaraba-e-baam-o-dar bahut yaad aa raha hai
ḳharāba-e-bām-o-dar bahut yaad aa rahā hai
na jaane kyoñ aaj ghar bahut yaad aa rahā hai
bhulā chukā huuñ jo rāsta tai kiyā thā maiñ ne
kiyā nahīñ jo safar bahut yaad aa rahā hai
vo saath rahtā thā ghar meñ to dhyān tak na aayā
magar sar-e-rahguzar bahut yaad aa rahā hai
udaas baiThe haiñ ghar kī dīvār par parinde
jo sahn meñ thā shajar bahut yaad aa rahā hai
laḌā.ī meñ saare vaar ḳhālī ga.e the jis ke
'jamāl' vo be-hunar bahut yaad aa rahā hai
KHaraba-e-baam-o-dar bahut yaad aa raha hai
na jaane kyon aaj ghar bahut yaad aa raha hai
bhula chuka hun jo rasta tai kiya tha main ne
kiya nahin jo safar bahut yaad aa raha hai
wo sath rahta tha ghar mein to dhyan tak na aaya
magar sar-e-rahguzar bahut yaad aa raha hai
udas baiThe hain ghar ki diwar par parinde
jo sahn mein tha shajar bahut yaad aa raha hai
laDai mein sare war KHali gae the jis ke
'jamal' wo be-hunar bahut yaad aa raha hai
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 108)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.