KHarabi ke nazare ug rahe hain
ḳharābī ke nazāre ug rahe haiñ
munāfe.a meñ ḳhasāre ug rahe haiñ
tire hoñToñ pe kaliyāñ khil rahī haiñ
mire āñkhoñ meñ taare ug rahe haiñ
falak chūme hai dhartī ke laboñ ko
ki dhartī se kināre ug rahe haiñ
tumhāre ishq meñ jalne kī ḳhātir
badan meñ kuchh sharāre ug rahe haiñ
falak ke chāñd ko chhūne kī zid meñ
'razā' jī par hamāre ug rahe haiñ
KHarabi ke nazare ug rahe hain
munafea mein KHasare ug rahe hain
tere honTon pe kaliyan khil rahi hain
mere aankhon mein tare ug rahe hain
falak chume hai dharti ke labon ko
ki dharti se kinare ug rahe hain
tumhaare ishq mein jalne ki KHatir
badan mein kuchh sharare ug rahe hain
falak ke chand ko chhune ki zid mein
'raza' ji par hamare ug rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.