KHarashen aur shikan-alud chehra bol sakta hai
ḳharāsheñ aur shikan-ālūd chehra bol saktā hai
samajhne vaalā koī ho to gūñgā bol saktā hai
ham apne se bahut chhoTe ko bhī chhoTā nahīñ kahte
zabāñ us kī hai vo dariyā ko qatra bol saktā hai
atā-e-rab alag shai hai ye bandoñ kā diyā hai kyā
sikhāo jitnā tote ko bas utnā bol saktā hai
sharāfat ḳhuun meñ hotī hai lahje meñ nahīñ hotī
burā insāñ kisī ko kaise achchhā bol saktā hai
yahāñ chalte haiñ saare kaam nazroñ ke ishāre par
ye bazm-e-nāz hai is meñ koī kyā bol saktā hai
'razā' jis ko abhī rakhte ho tum jaañ se aziiz apnā
adāvat meñ zarā dekho vo kyā kyā bol saktā hai
KHarashen aur shikan-alud chehra bol sakta hai
samajhne wala koi ho to gunga bol sakta hai
hum apne se bahut chhoTe ko bhi chhoTa nahin kahte
zaban us ki hai wo dariya ko qatra bol sakta hai
ata-e-rab alag shai hai ye bandon ka diya hai kya
sikhao jitna tote ko bas utna bol sakta hai
sharafat KHun mein hoti hai lahje mein nahin hoti
bura insan kisi ko kaise achchha bol sakta hai
yahan chalte hain sare kaam nazron ke ishaare par
ye bazm-e-naz hai is mein koi kya bol sakta hai
'raza' jis ko abhi rakhte ho tum jaan se aziz apna
adawat mein zara dekho wo kya kya bol sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.