KHaridne ka nae phul kuchh irada nain
ḳharīdne kā na.e phuul kuchh irāda na.iiñ
kise mileñ ki hamārā kisī se va.ada na.iiñ
mohabbatoñ meñ bahut ḳhaak chhān lī ham ne
kareñ ab aisī kisī mashq kā i.aada na.iiñ
bas ek shaam guzāreñ hamāre saath kabhī
qarīb aane kī ḳhvāhish hai par ziyāda na.iiñ
fareb khāyā hai terī jhukī nigāhoñ se
dikhā.ī detā hai jitnā tū utnā saada na.iiñ
tire liye to mavāqe bahut ziyāda haiñ
tū mas.aloñ meñ ghirā koī shāhzāda na.iiñ
safed-posh huuñ thoḌā bharam to rakhnā hai
jigar to chaak hai 'faisal' magar labāda na.iiñ
KHaridne ka nae phul kuchh irada nain
kise milen ki hamara kisi se wada nain
mohabbaton mein bahut KHak chhan li hum ne
karen ab aisi kisi mashq ka iada nain
bas ek sham guzaren hamare sath kabhi
qarib aane ki KHwahish hai par ziyaada nain
fareb khaya hai teri jhuki nigahon se
dikhai deta hai jitna tu utna sada nain
tere liye to mawaqe bahut ziyaada hain
tu masalon mein ghira koi shahzada nain
safed-posh hun thoDa bharam to rakhna hai
jigar to chaak hai 'faisal' magar labaada nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.