KHasta-dil hain na hamein aur satana logo
ḳhasta-dil haiñ na hameñ aur satānā logo
zikr us kā na zabāñ par kabhī laanā logo
aql tayyār to hai tark-e-ta.alluq ko magar
itnā āsān nahīñ dil ko manānā logo
jā-ba-jā DhūñDhtī phirtī haiñ nigāheñ jis ko
jaane kis shahr meñ hai us kā Thikāna logo
duur tak phail ga.ī baat hamārī us kī
kal likhā jā.egā ik aur fasāna logo
jaane kis lamha vo kis moḌ pe mil jā.egī
maut kā koī pata hai na Thikāna logo
ḳhud ko mushkil se sambhāle haiñ bahut TuuTe haiñ
ham bikhar jā.eñge mat Thes lagānā logo
'umr bhar ke liye bechain ye kar detā hai
merī maano to kabhī dil na lagānā logo
KHasta-dil hain na hamein aur satana logo
zikr us ka na zaban par kabhi lana logo
aql tayyar to hai tark-e-talluq ko magar
itna aasan nahin dil ko manana logo
ja-ba-ja DhunDhti phirti hain nigahen jis ko
jaane kis shahr mein hai us ka Thikana logo
dur tak phail gai baat hamari us ki
kal likha jaega ek aur fasana logo
jaane kis lamha wo kis moD pe mil jaegi
maut ka koi pata hai na Thikana logo
KHud ko mushkil se sambhaale hain bahut TuTe hain
hum bikhar jaenge mat Thes lagana logo
'umr bhar ke liye bechain ye kar deta hai
meri mano to kabhi dil na lagana logo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.