KHasta shikasta jism mein dhaDkan liye hue
ḳhasta shikasta jism meñ dhaḌkan liye hue
phirtā huuñ apnī ruuh kī katran liye hue
ummīd haare raat meñ mazdūr so ga.e
jaage zarūratoñ kī vo uljhan liye hue
gulshan talak meñ zahr ta.assub kā ghul gayā
kal phuul bhī milā thā mujhe gun liye hue
utrā jo mere dil se nazar se utar gayā
miltā hai mujh se ab bhī vo utran liye hue
aa.ī hai raqs kartī havā mere dvaar par
sāvan ke giit ghuñghrū kī chhan-chhan liye hue
KHasta shikasta jism mein dhaDkan liye hue
phirta hun apni ruh ki katran liye hue
ummid haare raat mein mazdur so gae
jage zaruraton ki wo uljhan liye hue
gulshan talak mein zahr tassub ka ghul gaya
kal phul bhi mila tha mujhe gun liye hue
utra jo mere dil se nazar se utar gaya
milta hai mujh se ab bhi wo utran liye hue
aai hai raqs karti hawa mere dwar par
sawan ke git ghunghru ki chhan-chhan liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.