Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHat dekhiye didar ki sujhi ye nai hai

Shad Lakhnavi

KHat dekhiye didar ki sujhi ye nai hai

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    ḳhat dekhiye dīdār sūjhī ye na.ī hai

    vaifar jagah aañkh lifāfe pe lagī hai

    ḳhākistar-e-tan ḳhair ho barbād huī hai

    uḌtī ye ḳhabar gard-e-parīda se sanī hai

    ham-ḳhvābī-e-jānāñ mirī qismat meñ likhī hai

    sote meñ zuleḳhā tarah aañkh lagī hai

    lau ishq vo hai ki patañge ko jalā kar

    sar meñ jo lagī sham.a ke talve meñ bujhī hai

    miT jā.egā har ādam-e-ḳhākī muraqqa.a

    tasvīr-e-gilī jo hai bigaḌne ko banī hai

    rone ko maiñ huuñ bārish-e-bārāñ ke muqābil

    aañsū jo thame dīda-e-pur-nam to hañsī hai

    jā.ūñ ki mar jā.ūñ maiñ is nāla-kashī se

    nathnoñ meñ hai dam nai tarah naak meñ hai

    Tapkeñ havaseñ kyuuñ na pasīne se hamāre

    har rauñgTe se ḳhvāhish-e-dil phuuT bahī hai

    siine pe dhare haath na mujh soḳhta-jāñ ke

    pahlū meñ kaleje jagah aag dabī hai

    qaazī irāda hai ki hai mai muchalka

    tauba dar-e-mai-ḳhāna pe dene ko Dhahī hai

    ab 'shād' ġhazal aur kaho qaid-e-ravī meñ

    is ke to sab abyāt meñ ītā-e-jalī hai

    KHat dekhiye didar ki sujhi ye nai hai

    waifar ki jagah aankh lifafe pe lagi hai

    KHakistar-e-tan KHair ho barbaad hui hai

    uDti ye KHabar gard-e-parida se sani hai

    ham-KHwabi-e-jaanan meri qismat mein likhi hai

    sote mein zuleKHa ki tarah aankh lagi hai

    lau ishq ki wo hai ki patange ko jala kar

    sar mein jo lagi shama ke talwe mein bujhi hai

    miT jaega har aadam-e-KHaki ka muraqqa

    taswir-e-gili jo hai bigaDne ko bani hai

    rone ko main hun barish-e-baran ke muqabil

    aansu jo thame dida-e-pur-nam to hansi hai

    ji jaun ki mar jaun main is nala-kashi se

    nathnon mein hai dam nai ki tarah nak mein ji hai

    Tapken hawasen kyun na pasine se hamare

    har raungTe se KHwahish-e-dil phuT bahi hai

    sine pe dhare hath na mujh soKHta-jaan ke

    pahlu mein kaleje ki jagah aag dabi hai

    qazi ka irada hai ki hai mai ka muchalka

    tauba dar-e-mai-KHana pe dene ko Dhahi hai

    ab 'shad' ghazal aur kaho qaid-e-rawi mein

    is ke to sab abyat mein ita-e-jali hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now