KHat-e-shikasta mein kuchh ret par likha hua tha

KHat-e-shikasta mein kuchh ret par likha hua tha
Mazhar Husain Syed
MORE BYMazhar Husain Syed
ḳhat-e-shikasta meñ kuchh ret par likhā huā thā
jo maiñ ne ġhaur se dekhā to ghar likhā huā thā
kitāb-e-zīst meñ likkhā nahīñ gayā mirā naam
miTā diyā hai kisī ne agar likhā huā thā
ḳhabīs bheḌiye shahroñ meñ dandanāte the
aur un kī khaal pe lafz-e-bashar likhā huā thā
havā bhī haar ga.ī thī shajar girāte hue
tumhārā naam vahāñ is qadar likhā huā thā
makīn ḳhvāb se jaage hī the ki sahm ga.e
har ik makān kī chaukhaT pe Dar likhā huā thā
vo jis ko le ke mirī bastiyoñ pe TuuT paḌe
kisī kitāb se kuchh DhūñD kar likhā huā thā
hamāre naam kī taḳhtī pe ek din 'maz.har'
hamārā naam nahīñ thā shajar likhā huā thā
KHat-e-shikasta mein kuchh ret par likha hua tha
jo main ne ghaur se dekha to ghar likha hua tha
kitab-e-zist mein likkha nahin gaya mera nam
miTa diya hai kisi ne agar likha hua tha
KHabis bheDiye shahron mein dandanate the
aur un ki khaal pe lafz-e-bashar likha hua tha
hawa bhi haar gai thi shajar giraate hue
tumhaara nam wahan is qadar likha hua tha
makin KHwab se jage hi the ki sahm gae
har ek makan ki chaukhaT pe Dar likha hua tha
wo jis ko le ke meri bastiyon pe TuT paDe
kisi kitab se kuchh DhunD kar likha hua tha
hamare nam ki taKHti pe ek din 'mazhar'
hamara nam nahin tha shajar likha hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.