KHat kar chuke hain ab ke jo irsal dekhna
ḳhat kar chuke haiñ ab ke jo irsāl dekhnā
us meñ hai darj dil kā kuchh ahvāl dekhnā
har chehre meñ na merī shabāhat talāsh kar
ab dūsroñ ke chhoḌ ḳhad-o-ḳhāl dekhnā
chāhe ḳhudā agar to ho jaa.e nasīb phir
tābīr-e-ḳhvāb ke na.e ijmāl dekhnā
baiThe hue yahāñ pe shikārī haiñ ghaat meñ
daane pe gar nazar ho to phir jaal dekhnā
chehre kā ġham chhupāne ko ġhāza lagā liyā
ġhāza haTe to ġhamgīñ ḳhad-o-ḳhāl dekhnā
koshish bahut kī rishte nibhā luuñ kisī tarah
kitnā huā hai dil mirā pāmāl dekhnā
majnūñ hai jāñ-ba-lab faqat chehra hī dekh kar
pallū sarak gayā hai zarā haal dekhnā
achchhā rahā kabhī to kabhī ho gayā burā
badlī haiñ vaqt ne ka.ī ashkāl dekhnā
KHat kar chuke hain ab ke jo irsal dekhna
us mein hai darj dil ka kuchh ahwal dekhna
har chehre mein na meri shabahat talash kar
ab dusron ke chhoD KHad-o-KHal dekhna
chahe KHuda agar to ho jae nasib phir
tabir-e-KHwab ke nae ijmal dekhna
baiThe hue yahan pe shikari hain ghat mein
dane pe gar nazar ho to phir jal dekhna
chehre ka gham chhupane ko ghaza laga liya
ghaza haTe to ghamgin KHad-o-KHal dekhna
koshish bahut ki rishte nibha lun kisi tarah
kitna hua hai dil mera pamal dekhna
majnun hai jaan-ba-lab faqat chehra hi dekh kar
pallu sarak gaya hai zara haal dekhna
achchha raha kabhi to kabhi ho gaya bura
badli hain waqt ne kai ashkal dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.