KHat koi pyar bhara likh dena
ḳhat koī pyaar bharā likh denā
mashvara likhnā duā likh denā
koī dīvār-e-shikasta hī sahī
us pe tum naam mirā likh denā
kitnā saada thā vo imkāñ kā nasha
ek jhoñke ko havā likh denā
kuchh to ākāsh meñ tasvīr sā hai
muskurā de to ḳhudā likh denā
barg-e-āḳhir ne kahā lahrā ke
mujhe mausam kī anā likh denā
haath lahrānā havā meñ us kā
aur paiġhām-e-hinā likh denā
sabz ko sabz na likhnā 'bānī'
fasl likh denā fazā likh denā
KHat koi pyar bhara likh dena
mashwara likhna dua likh dena
koi diwar-e-shikasta hi sahi
us pe tum nam mera likh dena
kitna sada tha wo imkan ka nasha
ek jhonke ko hawa likh dena
kuchh to aakash mein taswir sa hai
muskura de to KHuda likh dena
barg-e-aKHir ne kaha lahra ke
mujhe mausam ki ana likh dena
hath lahrana hawa mein us ka
aur paigham-e-hina likh dena
sabz ko sabz na likhna 'bani'
fasl likh dena faza likh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.