KHat mein ubhar rahi hai taswir dhire dhire
ḳhat meñ ubhar rahī hai tasvīr dhīre dhīre
gum hotī jā rahī hai tahrīr dhīre dhīre
ehsās tujh ko hogā zindāñ kā rafta-rafta
tujh par khulegī terī zanjīr dhīre dhīre
mujh se hī kaam mere Talte chale ga.e haiñ
hotī chalī ga.ī hai tāḳhīr dhīre dhīre
taqdīr rang apnā dikhlā rahī hai pal pal
be-rañg ho chalī hai tadbīr dhīre dhīre
āñkhoñ meñ ek aañsū bhī ab nahīñ bachā hai
ham ne luTā dī saarī jāgīr dhīre dhīre
dekhā hai jab se us ko lagtā hai jaise dil meñ
paivast ho rahā hai ik tiir dhīre dhīre
āsāñ nahīñ thā ġham ko lafzoñ meñ jazb karnā
aa.ī mire suḳhan meñ tāsīr dhīre dhīre
KHat mein ubhar rahi hai taswir dhire dhire
gum hoti ja rahi hai tahrir dhire dhire
ehsas tujh ko hoga zindan ka rafta-rafta
tujh par khulegi teri zanjir dhire dhire
mujh se hi kaam mere Talte chale gae hain
hoti chali gai hai taKHir dhire dhire
taqdir rang apna dikhla rahi hai pal pal
be-rang ho chali hai tadbir dhire dhire
aankhon mein ek aansu bhi ab nahin bacha hai
hum ne luTa di sari jagir dhire dhire
dekha hai jab se us ko lagta hai jaise dil mein
paiwast ho raha hai ek tir dhire dhire
aasan nahin tha gham ko lafzon mein jazb karna
aai mere suKHan mein tasir dhire dhire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.