KHata betabiyon ki qalb par bedad karte hain
ḳhatā betābiyoñ kī qalb par bedād karte haiñ
kise barbād karnā thā kise barbād karte haiñ
yahāñ din-rāt jin kī yaad meñ fariyād karte haiñ
chaman vaale bhī ai sayyād ham ko yaad karte haiñ
ilāhā shān-e-ḳhuddārī ye istiġhnā.iyāñ kab tak
tire bande butoñ ke sāmne fariyād karte haiñ
tujhe dil muft dete haiñ hamārā ye kaleja hai
ki apnā ghar luTā kar terā ghar ābād karte haiñ
adā-e-be-niyāzī chhā rahī hai saare aalam par
haram ke rahne vaale but-kade ābād karte haiñ
sarāpā paikar-e-mastī mujassam shān-e-ra.anā.ī
kisī ko dekhte haiñ aur ḳhudā ko yaad karte haiñ
chaman bhī aa.e lene ko qafas se ham na jā.eñge
rihā ye kaun hotā hai kise āzād karte haiñ
mohabbat hai unhīñ ajzā-e-majbūrī kā majmūa
bhulāte haiñ jinheñ dil se unhīñ ko yaad karte haiñ
na vo bū-e-vafā gul meñ na vo nazreñ haiñ ġhunchoñ kī
chaman ko chhoḌ kar ab bai'at-e-sayyād karte haiñ
inhīñ zarrāt-e-betābi se dil kī zindagānī hai
yahī zarrāt-e-betābi hameñ barbād karte haiñ
fareb-e-ārzū kā naam vasl-e-yār rakhā hai
vufūr-e-ġham meñ dhoke de ke dil ko shaad karte haiñ
vahī baazū vahī tāqat vahī parvāz hai ab bhī
qafas kī tīliyāñ kyā ḳhātir-e-sayyād karte haiñ
sukūt-e-dil nahīñ ḳhāmoshī-e-lab ai 'munīr' ik din
dikhā deñge ye ahl-e-zabt yuuñ fariyād karte haiñ
KHata betabiyon ki qalb par bedad karte hain
kise barbaad karna tha kise barbaad karte hain
yahan din-raat jin ki yaad mein fariyaad karte hain
chaman wale bhi ai sayyaad hum ko yaad karte hain
ilaha shan-e-KHuddari ye istighnaiyan kab tak
tere bande buton ke samne fariyaad karte hain
tujhe dil muft dete hain hamara ye kaleja hai
ki apna ghar luTa kar tera ghar aabaad karte hain
ada-e-be-niyazi chha rahi hai sare aalam par
haram ke rahne wale but-kade aabaad karte hain
sarapa paikar-e-masti mujassam shan-e-ranai
kisi ko dekhte hain aur KHuda ko yaad karte hain
chaman bhi aae lene ko qafas se hum na jaenge
riha ye kaun hota hai kise aazad karte hain
mohabbat hai unhin ajza-e-majburi ka majmua
bhulate hain jinhen dil se unhin ko yaad karte hain
na wo bu-e-wafa gul mein na wo nazren hain ghunchon ki
chaman ko chhoD kar ab bai'at-e-sayyaad karte hain
inhin zarraat-e-betabi se dil ki zindagani hai
yahi zarraat-e-betabi hamein barbaad karte hain
fareb-e-arzu ka nam wasl-e-yar rakha hai
wufur-e-gham mein dhoke de ke dil ko shad karte hain
wahi bazu wahi taqat wahi parwaz hai ab bhi
qafas ki tiliyan kya KHatir-e-sayyaad karte hain
sukut-e-dil nahin KHamoshi-e-lab ai 'munir' ek din
dikha denge ye ahl-e-zabt yun fariyaad karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.