KHata hone lage the rad se ausan mere
ḳhatā hone lage the raad se ausān mere
ajab shor-e-qayāmat meñ ghire the kaan mere
fazā meñ ek lahze ke liye jab barq chamkī
añdherī raat se tai ho ga.e paimān mere
lahū jamne ke nuqte par jo pahuñchā to achānak
ulaT Daale havā ne mujh pe ātish-dān mere
maiñ miTTī aag aur paanī kī sūrat muntashir thā
phir ik din sab anāsir ho ga.e yak-jān mere
KHata hone lage the rad se ausan mere
ajab shor-e-qayamat mein ghire the kan mere
faza mein ek lahze ke liye jab barq chamki
andheri raat se tai ho gae paiman mere
lahu jamne ke nuqte par jo pahuncha to achanak
ulaT Dale hawa ne mujh pe aatish-dan mere
main miTTi aag aur pani ki surat muntashir tha
phir ek din sab anasir ho gae yak-jaan mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.