KHataen kar ke agar ashk-bar hain hum log
ḳhatā.eñ kar ke agar ashk-bār haiñ ham log
qarīn-e-rahmat-e-parvardigār haiñ ham log
agar talab hai tumheñ DhūñD lo hameñ logo
ki is jahān meñ bā-e'tibār haiñ ham log
tumhī chaman ho tumhī rang-o-bū tum hī shabnam
hamārā kyā hai pareshāñ-ġhubār haiñ ham log
vo shāh-e-vaqt haiñ jamhūriyat ke parde meñ
ye tohmateñ haiñ ki bā-iḳhtiyār haiñ ham log
fareb-e-ālam-e-hastī se ham ko kyā nisbat
tire jahāñ meñ ġharīb-ud-dayār haiñ ham log
na kar sake ġham-e-jānāñ se ham kabhī insāf
ki mubtalā-e-ġham-e-rozgār haiñ ham log
havā ke biich abhī haiñ abhī nahīñ hoñge
jahāñ meñ misl-e-charāġh-e-mazār haiñ ham log
rumūz-e-ishq zamāna sikhā.egā 'salmān'
ġhalat ḳhayāl thā āmoz-gār haiñ ham log
KHataen kar ke agar ashk-bar hain hum log
qarin-e-rahmat-e-parwardigar hain hum log
agar talab hai tumhein DhunD lo hamein logo
ki is jahan mein ba-e'tibar hain hum log
tumhi chaman ho tumhi rang-o-bu tum hi shabnam
hamara kya hai pareshan-ghubar hain hum log
wo shah-e-waqt hain jamhuriyat ke parde mein
ye tohmaten hain ki ba-iKHtiyar hain hum log
fareb-e-alam-e-hasti se hum ko kya nisbat
tere jahan mein gharib-ud-dayar hain hum log
na kar sake gham-e-jaanan se hum kabhi insaf
ki mubtala-e-gham-e-rozgar hain hum log
hawa ke bich abhi hain abhi nahin honge
jahan mein misl-e-charagh-e-mazar hain hum log
rumuz-e-ishq zamana sikhaega 'salman'
ghalat KHayal tha aamoz-gar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.