khaTak ne dil ki diya zaKHm-e-be-nishan ka pata
khaTak ne dil kī diyā zaḳhm-e-be-nishāñ kā patā
na us dahan meñ fuġhāñ thī na thā zabāñ kā patā
sar-e-niyāz jhukāne kī ḳhū to paidā kar
jabīn-e-shauq lagā legī āstāñ kā patā
sitam dabā na sakā aap ke shahīdoñ ko
jafā miTā na sakī ḳhūn-e-be-kasāñ kā patā
rag-e-burīda pukāregī naam qātil kā
kafan batā.egā us teġh-e-ḳhūñ-chakāñ kā patā
isī qadar to hai sarmāya-e-tajassus-e-aql
ki kuchh zamīñ kī ḳhabar hai kuchh āsmāñ kā patā
dil-e-tapāñ thā kahīñ chashm-e-ḳhūñfishāñ thī kahīñ
qadam qadam pe milā kūcha-e-butāñ kā patā
asīr-e-dām-e-mohabbat se pūchhiye 'betāb'
kamand turra-e-mushkīn-e-dilsitāñ kā patā
khaTak ne dil ki diya zaKHm-e-be-nishan ka pata
na us dahan mein fughan thi na tha zaban ka pata
sar-e-niyaz jhukane ki KHu to paida kar
jabin-e-shauq laga legi aastan ka pata
sitam daba na saka aap ke shahidon ko
jafa miTa na saki KHun-e-be-kasan ka pata
rag-e-burida pukaregi nam qatil ka
kafan bataega us tegh-e-KHun-chakan ka pata
isi qadar to hai sarmaya-e-tajassus-e-aql
ki kuchh zamin ki KHabar hai kuchh aasman ka pata
dil-e-tapan tha kahin chashm-e-KHunfishan thi kahin
qadam qadam pe mila kucha-e-butan ka pata
asir-e-dam-e-mohabbat se puchhiye 'betab'
kamand turra-e-mushkin-e-dilsitan ka pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.