khaTak rahi hai ghuTan ki ye bud-o-bash mujhe
khaTak rahī hai ghuTan kī ye būd-o-bāsh mujhe
paḌā huuñ maiñ kisī patthar meñ tū tarāsh mujhe
mulā.emat se nafāsat se chhū mirā paikar
aur aise chhū ki na aa.e koī ḳharāsh mujhe
idhar-udhar ke ilāqoñ meñ DhūñDhtā hai kyā
maiñ tere dil meñ chhupā huuñ vahāñ talāsh mujhe
safed kāñch ke pul par pahuñch ke sochtā huuñ
mirā ġhurūr hī kar de na pāsh-pāsh mujhe
maiñ puure qad se khaḌā huuñ suḳhan sarā.e meñ
lage rahe haiñ girāne meñ bad-ma.āsh mujhe
badan meñ ḳhuun kī shāyad kamī huī paidā
kahīñ bhī sangtare kī milī na qaash mujhe
jamāl-o-husn ke pahlū kī dhuup hai darkār
ai 'āftāb'-e-tamanna na kar nirāsh mujhe
khaTak rahi hai ghuTan ki ye bud-o-bash mujhe
paDa hun main kisi patthar mein tu tarash mujhe
mulaemat se nafasat se chhu mera paikar
aur aise chhu ki na aae koi KHarash mujhe
idhar-udhar ke ilaqon mein DhunDhta hai kya
main tere dil mein chhupa hun wahan talash mujhe
safed kanch ke pul par pahunch ke sochta hun
mera ghurur hi kar de na pash-pash mujhe
main pure qad se khaDa hun suKHan sarae mein
lage rahe hain girane mein bad-maash mujhe
badan mein KHun ki shayad kami hui paida
kahin bhi sangtare ki mili na qash mujhe
jamal-o-husn ke pahlu ki dhup hai darkar
ai 'aftab'-e-tamanna na kar nirash mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.