khaTkhaTata hai dar-e-dil ki bhala zanjir kaun
khaTkhaTātā hai dar-e-dil kī bhalā zanjīr kaun
de rahā hai mere ḳhvāboñ ko na.ī ta.abīr kaun
merī āñkhoñ ke havāle se mire ruḳhsār par
likh gayā kājal se apne dard kī tahrīr kaun
jis ko paane ke liye mar mar ke jiite haiñ sabhī
qabr tak le kar gayā duniyā kī vo jāgīr kaun
jab ḳhudā ne hī nahīñ likkhā use mere liye
us ko duniyā meñ banā detā mirī taqdīr kaun
vo jo kahte the mohabbat nafratoñ kā hai javāb
un laboñ par rakh gayā nafrat bujhī shamshīr kaun
ye zamīñ sabza ye paanī āsmāñ shams-o-qamar
kaun hai in kā musavvir hai pas-e-tasvīr kaun
mujh ko baḳhshā hai ḳhudā ne jab ye ġhazloñ kā hunar
mere fan kī phir ghaTā.egā bhalā tauqīr kaun
falsafa 'ġhālib' ke jaisā kaun likkhegā 'hinā'
bhar sakegā shā.irī meñ phir se rañg-e-'mīr' kaun
khaTkhaTata hai dar-e-dil ki bhala zanjir kaun
de raha hai mere KHwabon ko nai tabir kaun
meri aankhon ke hawale se mere ruKHsar par
likh gaya kajal se apne dard ki tahrir kaun
jis ko pane ke liye mar mar ke jite hain sabhi
qabr tak le kar gaya duniya ki wo jagir kaun
jab KHuda ne hi nahin likkha use mere liye
us ko duniya mein bana deta meri taqdir kaun
wo jo kahte the mohabbat nafraton ka hai jawab
un labon par rakh gaya nafrat bujhi shamshir kaun
ye zamin sabza ye pani aasman shams-o-qamar
kaun hai in ka musawwir hai pas-e-taswir kaun
mujh ko baKHsha hai KHuda ne jab ye ghazlon ka hunar
mere fan ki phir ghaTaega bhala tauqir kaun
falsafa 'ghaalib' ke jaisa kaun likkhega 'hina'
bhar sakega shairi mein phir se rang-e-'mir' kaun
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.