KHatm ho kar bhi chal rahi hai kahin
ḳhatm ho kar bhī chal rahī hai kahīñ
dāstāñ jo ki ruk ga.ī hai kahīñ
sher ik dard kī amānat hai
dard jis meñ abhī kamī hai kahīñ
jism bhī thak ke so gayā āḳhir
saañs bhī saañs le rahī hai kahīñ
dil kī TuuTī hai bāñsurī aise
ġham kī nāgin bhī ro rahī hai kahīñ
chāñd par maut kī udāsī hai
chāñdnī shab pe mar-miTī hai kahīñ
merī āñkhoñ se pyaar kī nadiyā
us kī āñkhoñ meñ Dūbtī hai kahīñ
KHatm ho kar bhi chal rahi hai kahin
dastan jo ki ruk gai hai kahin
sher ek dard ki amanat hai
dard jis mein abhi kami hai kahin
jism bhi thak ke so gaya aaKHir
sans bhi sans le rahi hai kahin
dil ki TuTi hai bansuri aise
gham ki nagin bhi ro rahi hai kahin
chand par maut ki udasi hai
chandni shab pe mar-miTi hai kahin
meri aankhon se pyar ki nadiya
us ki aankhon mein Dubti hai kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.