KHatm hogi kab ye wahshat ai KHuda kab faisla hoga
ḳhatm hogī kab ye vahshat ai ḳhudā kab faisla hogā
ḳhaak meñ ḳhalq-e-ḳhudā mil jā.egī tab faisla hogā
shāḳh-e-gul kaafī ra.ūnat hai abhī sūraj ke lahje meñ
dhuup jab peḌoñ se utregī to phir sab faisla hogā
din savā neze pe chaḌhtā hai to chaḌhne deñ abhī din hai
din ke siine se guzar kar aaj kī shab faisla hogā
shahr bhar meñ dekhnā us raat gul hoñge diye saare
juz havā koī nahīñ hogā mirā jab faisla hogā
ai falak ab jis meñ jitnī taab hai vo āzmā.e sab
ai zamīñ raqs-e-junūñ kī shart par ab faisla hogā
KHatm hogi kab ye wahshat ai KHuda kab faisla hoga
KHak mein KHalq-e-KHuda mil jaegi tab faisla hoga
shaKH-e-gul kafi raunat hai abhi suraj ke lahje mein
dhup jab peDon se utregi to phir sab faisla hoga
din sawa neze pe chaDhta hai to chaDhne den abhi din hai
din ke sine se guzar kar aaj ki shab faisla hoga
shahr bhar mein dekhna us raat gul honge diye sare
juz hawa koi nahin hoga mera jab faisla hoga
ai falak ab jis mein jitni tab hai wo aazmae sab
ai zamin raqs-e-junun ki shart par ab faisla hoga
- Book : Ishq (Pg. 72)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.