KHatm hone ja rahi hai raegani shukriya
ḳhatm hone jā rahī hai rā.egānī shukriya
shukriya ai dil ai mere yār-e-jānī shukriya
dasht meñ khilne lagā hai 'ishq kā taaza gulāb
muskurā kar dekhiyegā mehrbānī shukriya
āḳhirash tū ne kahīñ se to mujhe āvāz dī
dil pe patthar rakh ke merī baat maanī shukriya
jaag ai qismat ki terī god meñ sar rakh diyā
sahl kar de mujh pe thoḌī zindagānī shukriya
aap ne 'rāshid' ḳhizāñ meñ sabz kar Daalā mujhe
aap ke aane se aa.ī shādmānī shukriya
KHatm hone ja rahi hai raegani shukriya
shukriya ai dil ai mere yar-e-jaani shukriya
dasht mein khilne laga hai 'ishq ka taza gulab
muskura kar dekhiyega mehrbani shukriya
aaKHirash tu ne kahin se to mujhe aawaz di
dil pe patthar rakh ke meri baat mani shukriya
jag ai qismat ki teri god mein sar rakh diya
sahl kar de mujh pe thoDi zindagani shukriya
aap ne 'rashid' KHizan mein sabz kar Dala mujhe
aap ke aane se aai shadmani shukriya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.