KHatm jis din shorish-e-ah-o-fughan ho jaegi
KHatm jis din shorish-e-ah-o-fughan ho jaegi
Masood Maikash Muradabadi
MORE BYMasood Maikash Muradabadi
ḳhatm jis din shorish-e-āh-o-fuġhāñ ho jā.egī
zindagī insān par bār-e-garāñ ho jā.egī
quvvat-e-ehsās agar sarf-e-fuġhāñ ho jā.egī
naqsh-e-faryādī mirī 'umr-e-ravāñ ho jā.egī
gar yahī dīvāngī hai rahravān-e-ishq kī
manzil-e-maqsūd gard-e-kārvāñ ho jā.egī
aaj sajdoñ kī farāvānī se hotā hai gumāñ
ḳhud jabīn-e-shauq terā āstāñ ho jā.egī
jo shab-e-furqat giregī dīda-hā-e-shauq se
vo lahū kī buuñd bahr-e-be-karāñ ho jā.egī
gulsitāñ par bijliyoñ kī yūrisheñ hone to do
har kalī sehn-e-chaman kī āshiyāñ ho jā.egī
bāda-noshī meñ agar husn-e-aqīdat hai sharīk
bazm-e-sāqī sajda-gāh-e-do-jahāñ ho jā.egī
KHatm jis din shorish-e-ah-o-fughan ho jaegi
zindagi insan par bar-e-garan ho jaegi
quwwat-e-ehsas agar sarf-e-fughan ho jaegi
naqsh-e-faryaadi meri 'umr-e-rawan ho jaegi
gar yahi diwangi hai rahrawan-e-ishq ki
manzil-e-maqsud gard-e-karwan ho jaegi
aaj sajdon ki farawani se hota hai guman
KHud jabin-e-shauq tera aastan ho jaegi
jo shab-e-furqat giregi dida-ha-e-shauq se
wo lahu ki bund bahr-e-be-karan ho jaegi
gulsitan par bijliyon ki yurishen hone to do
har kali sehn-e-chaman ki aashiyan ho jaegi
baada-noshi mein agar husn-e-aqidat hai sharik
bazm-e-saqi sajda-gah-e-do-jahan ho jaegi
- Book : KHuli kitab (Pg. 28)
- Author : Masuud maikash muradabadi
- Publication : Adbi Miaar Publications (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.