KHatm kar deti hai KHud hi fasla mere liye
ḳhatm kar detī hai ḳhud hī fāsla mere liye
us kī ḳhushbū le ke aatī hai havā mere liye
maiñ ne jis jis kā dukhāyā dil vo sab jaate rahe
ab nadāmat lafz kā matlab bhī kyā mere liye
koī ab bhī dil ke mandir meñ jalātā hai diye
koī to kartā hai ab bhī ratjagā mere liye
haath ke chhāloñ ne kar lī aaj phir se ḳhud-kushī
mere bachchoñ ne kahā jab kyā kiyā mere liye
apnī ulfat ke hazāroñ rang bhar dūñgā janāb
jab koī tasvīr bhejegā ḳhudā mere liye
kis liye duniyā meñ rahne aa ga.e jannat se ham
koī to ban jaa.e ab uqda-kushā mere liye
azm-e-mohkam dekh kar is zindagī kī raah meñ
manzileñ ḳhud tai kareñgī rāsta mere liye
maiñ ne chhoḌī hī nahīñ ab tak amal kī rassiyāñ
jo bhī hai achchhā hai sab us kā likhā mere liye
KHatm kar deti hai KHud hi fasla mere liye
us ki KHushbu le ke aati hai hawa mere liye
main ne jis jis ka dukhaya dil wo sab jate rahe
ab nadamat lafz ka matlab bhi kya mere liye
koi ab bhi dil ke mandir mein jalata hai diye
koi to karta hai ab bhi ratjaga mere liye
hath ke chhaalon ne kar li aaj phir se KHud-kushi
mere bachchon ne kaha jab kya kiya mere liye
apni ulfat ke hazaron rang bhar dunga janab
jab koi taswir bhejega KHuda mere liye
kis liye duniya mein rahne aa gae jannat se hum
koi to ban jae ab uqda-kusha mere liye
azm-e-mohkam dekh kar is zindagi ki rah mein
manzilen KHud tai karengi rasta mere liye
main ne chhoDi hi nahin ab tak amal ki rassiyan
jo bhi hai achchha hai sab us ka likha mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.