KHatm raaton-raat us gul ki kahani ho gai
ḳhatm rātoñ-rāt us gul kī kahānī ho ga.ī
rang bosīda hue ḳhushbū purānī ho ga.ī
jis se raushan thā muqaddar vo sitāra kho gayā
zulmatoñ kī nazr āḳhir zindagānī ho ga.ī
kal ujāloñ ke nagar meñ hādsa aisā huā
chaḌhte sūraj par diye kī hukmrānī ho ga.ī
rah ga.ī thī laal banñe meñ kamī ik aañch kī
aañkh se gir kar lahū kī buuñd paanī ho ga.ī
chilla-e-jāñ par chaḌhā kar āḳhirī sāñsoñ ke tiir
maut kī sarhad meñ dāḳhil zindagānī ho ga.ī
ḳhauf ab aatā nahīñ hai sīpiyāñ chunte hue
dostī apnī samundar se purānī ho ga.ī
kis jagah aayā hai tū āñkhoñ ke nīlam bhuul kar
ġham kahāñ 'iqbāl-sājid' kī nishānī ho ga.ī
KHatm raaton-raat us gul ki kahani ho gai
rang bosida hue KHushbu purani ho gai
jis se raushan tha muqaddar wo sitara kho gaya
zulmaton ki nazr aaKHir zindagani ho gai
kal ujalon ke nagar mein hadsa aisa hua
chaDhte suraj par diye ki hukmrani ho gai
rah gai thi lal banne mein kami ek aanch ki
aankh se gir kar lahu ki bund pani ho gai
chilla-e-jaan par chaDha kar aaKHiri sanson ke tir
maut ki sarhad mein daKHil zindagani ho gai
KHauf ab aata nahin hai sipiyan chunte hue
dosti apni samundar se purani ho gai
kis jagah aaya hai tu aankhon ke nilam bhul kar
gham kahan 'iqbaal-sajid' ki nishani ho gai
- Book : kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 187)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.