KHatm tab kulfaton ka jam hua
ḳhatm tab kulfatoñ kā jaam huā
jab mohabbat kā iḳhtitām huā
merī terī badal ga.iiñ rāheñ
ishq kā qissa yuuñ tamām huā
qatl ke sab gavāh maare ga.e
aur tamāshā-e-adl aam huā
chāplūsī kā fan hai tere paas
shahr kā shahr tere naam huā
ishq ham par bhī ho gayā vājib
har koī ishq kā ġhulām huā
jis ne allah se lau lagā.ī hai
bas vahī ishq kā imaam huā
raat us ne sukūn kī paa.ī
din mashaqqat kā mere naam huā
KHatm tab kulfaton ka jam hua
jab mohabbat ka iKHtitam hua
meri teri badal gain rahen
ishq ka qissa yun tamam hua
qatl ke sab gawah mare gae
aur tamasha-e-adl aam hua
chaplusi ka fan hai tere pas
shahr ka shahr tere nam hua
ishq hum par bhi ho gaya wajib
har koi ishq ka ghulam hua
jis ne allah se lau lagai hai
bas wahi ishq ka imam hua
raat us ne sukun ki pai
din mashaqqat ka mere nam hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.