KHatm tum se bhi ab gila karna
ḳhatm tum se bhī ab gila karnā
ḳhair jaao nahīñ milā karnā
jaao phūlo ye merā siina hai
us kī āñkhoñ meñ ab khilā karnā
ik na.ī yaad ban gayā yaaro
ḳhatm yādoñ kā silsila karnā
qāfila ban ga.ī tirī ḳhvāhish
aur ruḳhsat vo qāfila karnā
KHatm tum se bhi ab gila karna
KHair jao nahin mila karna
jao phulo ye mera sina hai
us ki aankhon mein ab khila karna
ek nai yaad ban gaya yaro
KHatm yaadon ka silsila karna
qafila ban gai teri KHwahish
aur ruKHsat wo qafila karna
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 107)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.