KHatm un ke kabhi sitam na hue
ḳhatm un ke kabhī sitam na hue
sar hamāre agarche ḳham na hue
tum koī shaam aisī batlāo
jab hue tum udaas ham na hue
apnā ḳhāliq to hai sanam apnā
ham kisī ke magar sanam na hue
kis ko āñkheñ milā ke dekheñ jab
terī nazroñ meñ mohtaram na hue
aur jiine kā kyā hunar rakhte
kam se kam haath to qalam na hue
kyā huā lafz lafz jiine se
ik ibārat meñ jab raqam na hue
lutf 'bebāk' us safar meñ kahāñ
jis kī rāhoñ meñ zer-o-bam na hue
KHatm un ke kabhi sitam na hue
sar hamare agarche KHam na hue
tum koi sham aisi batlao
jab hue tum udas hum na hue
apna KHaliq to hai sanam apna
hum kisi ke magar sanam na hue
kis ko aankhen mila ke dekhen jab
teri nazron mein mohtaram na hue
aur jine ka kya hunar rakhte
kam se kam hath to qalam na hue
kya hua lafz lafz jine se
ek ibarat mein jab raqam na hue
lutf 'bebak' us safar mein kahan
jis ki rahon mein zer-o-bam na hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.