KHauf aata hi nahin ab to mujhe pani se
ḳhauf aatā hī nahīñ ab to mujhe paanī se
is liye jhiil meñ utrī huuñ maiñ āsānī se
kaun thā kis kī judā.ī kā tujhe sadma hai
aaj pūchhūñgī yahī shahr kī vīrānī se
tū bhī rahtā hai mire sāmne sharminda sā
maiñ bhī nādim huuñ tirī roz kī nādānī se
maut bhī Duub ke honī hai hamārī shāyad
Dar jo lagtā hī nahīñ hai hameñ tuġhyānī se
ḳhud-numā.ī kā use shauq hai kitnā 'zebī'
apnī tasvīr hai banvā.ī kisī maanī se
KHauf aata hi nahin ab to mujhe pani se
is liye jhil mein utri hun main aasani se
kaun tha kis ki judai ka tujhe sadma hai
aaj puchhungi yahi shahr ki virani se
tu bhi rahta hai mere samne sharminda sa
main bhi nadim hun teri roz ki nadani se
maut bhi Dub ke honi hai hamari shayad
Dar jo lagta hi nahin hai hamein tughyani se
KHud-numai ka use shauq hai kitna 'zebi'
apni taswir hai banwai kisi mani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.