KHauf dil mein zara nahin karte
ḳhauf dil meñ zarā nahīñ karte
zindagī se vafā nahīñ karte
zindagī kā hisāb denā hai
kyoñ ibādat kiyā nahīñ karte
sun hī legā ḳhudā-e-izz-o-jal
kyoñ taḌap kar duā nahīñ karte
āzmā.ish huī hai har saa.at
zikr-e-rab kyoñ kiyā nahīñ karte
sun lī yā dekh lī ḳhatā jis kī
tazkira jā-ba-jā nahīñ karte
kyoñ kisī kī ḳhatā pe hañste ho
kyā kabhī tum ḳhatā nahīñ karte
dūsroñ kī hai nukta-chīnī 'sharār'
farz apnā adā nahīñ karte
KHauf dil mein zara nahin karte
zindagi se wafa nahin karte
zindagi ka hisab dena hai
kyon ibaadat kiya nahin karte
sun hi lega KHuda-e-izz-o-jal
kyon taDap kar dua nahin karte
aazmaish hui hai har saat
zikr-e-rab kyon kiya nahin karte
sun li ya dekh li KHata jis ki
tazkira ja-ba-ja nahin karte
kyon kisi ki KHata pe hanste ho
kya kabhi tum KHata nahin karte
dusron ki hai nukta-chini 'sharar'
farz apna ada nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.