KHauf hai dhund bhari raat hai tanhai hai
ḳhauf hai dhund bharī raat hai tanhā.ī hai
mere kamre meñ abhī raat hai tanhā.ī hai
ai ḳhudā tū hī charāġhoñ kī hifāzat karnā
maiñ musāfir huuñ kaḌī raat hai tanhā.ī hai
ik na.e ḳhvāb kī sarhad pe chalī aa.ī thakan
ik nayā shahr na.ī raat hai tanhā.ī hai
dil ye kahtā hai tamanna ke parindoñ ko pukār
'aql kahtī hai ghanī raat hai tanhā.ī hai
phir vahī sub.h-e-nadāmat vahī din-bhar kā ġhubār
phir vahī shaam vahī raat hai tanhā.ī hai
KHauf hai dhund bhari raat hai tanhai hai
mere kamre mein abhi raat hai tanhai hai
ai KHuda tu hi charaghon ki hifazat karna
main musafir hun kaDi raat hai tanhai hai
ek nae KHwab ki sarhad pe chali aai thakan
ek naya shahr nai raat hai tanhai hai
dil ye kahta hai tamanna ke parindon ko pukar
'aql kahti hai ghani raat hai tanhai hai
phir wahi subh-e-nadamat wahi din-bhar ka ghubar
phir wahi sham wahi raat hai tanhai hai
- Book : Ishq (Pg. 67)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.