KHauf ke zahrile phan hain hausle ke aas-pas
KHauf ke zahrile phan hain hausle ke aas-pas
Tahir Saood Kiratpuri
MORE BYTahir Saood Kiratpuri
ḳhauf ke zahrīle phan haiñ hausle ke ās-pās
yā'nī nuqsānāt bhī haiñ fā.ede ke ās-pās
yuuñ añdhere kī salāḳhoñ se huā āzād diip
chand jugnū rakh diye ham ne diye ke ās-pās
mar ke bhī hamsā.egī baaqī rahe so ik daraḳht
tum lagā denā hamāre maqbare ke ās-pās
kyā zamāna hai diloñ ko toḌ kar bhī aadmī
muskurātā phir rahā hai aa.ine ke ās-pās
ik ġhazal kī yak-ba-yak taqdīr raushan ho ga.ī
ik ġhazal rotī rahī banjar gale ke ās-pās
maiñ ne un kī sirf ik tasvīr khīñchī thī ki bas
titliyāñ hī titliyāñ thiiñ camere ke ās-pās
ek shab ik raushnī ne ḳhvāb meñ aa kar kahā
bā-vazū baiThā karo rote hue ke ās-pās
KHauf ke zahrile phan hain hausle ke aas-pas
ya'ni nuqsanat bhi hain faede ke aas-pas
yun andhere ki salaKHon se hua aazad dip
chand jugnu rakh diye hum ne diye ke aas-pas
mar ke bhi hamsaegi baqi rahe so ek daraKHt
tum laga dena hamare maqbare ke aas-pas
kya zamana hai dilon ko toD kar bhi aadmi
muskuraata phir raha hai aaine ke aas-pas
ek ghazal ki yak-ba-yak taqdir raushan ho gai
ek ghazal roti rahi banjar gale ke aas-pas
main ne un ki sirf ek taswir khinchi thi ki bas
titliyan hi titliyan thin camere ke aas-pas
ek shab ek raushni ne KHwab mein aa kar kaha
ba-wazu baiTha karo rote hue ke aas-pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.