KHauf ki aisi na bimari lage
ḳhauf kī aisī na bīmārī lage
sach vo bole to adākārī lage
sāhiboñ se har ijāzat lo magar
muskurānā bhī na sarkārī lage
sab miyāñ hālāt par mauqūf hai
phuul bhī talvār se bhārī lage
ai farishto sar na Dhalkānā mirā
maut bhī aa.e to sardārī lage
bhaaḌ meñ jaa.e ye tahzīb-e-kalām
baat kahne meñ bhī dushvārī lage
vo ġhazal-ābād meñ rahtā hai nuur
kyuuñ na us kā har suḳhan kaarī lage
KHauf ki aisi na bimari lage
sach wo bole to adakari lage
sahibon se har ijazat lo magar
muskurana bhi na sarkari lage
sab miyan haalat par mauquf hai
phul bhi talwar se bhaari lage
ai farishto sar na Dhalkana mera
maut bhi aae to sardari lage
bhaD mein jae ye tahzib-e-kalam
baat kahne mein bhi dushwari lage
wo ghazal-abaad mein rahta hai nur
kyun na us ka har suKHan kari lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.