KHauf sa ek dil pe tari hai
ḳhauf sā ek dil pe taarī hai
muztarib zindagī hamārī hai
zulm hotā hai be-gunāhoñ par
silsila aaj bhī ye jaarī hai
kab samajhte haiñ qaum kā vo dard
qaum kī jin pe Theke-dārī hai
kaun kahtā hai paḌ gayā halkā
jhuuT par sach to ab bhī bhārī hai
baat tujh se adab kī kyā karnā
māl-o-daulat kā tū pujārī hai
maal meñ tere māl-dār-e-vaqt
muflisoñ kī bhī hisse-dārī hai
dost sab ke nahīñ haiñ ham 'yāsīn'
jis se yaarī hai us se yaarī hai
KHauf sa ek dil pe tari hai
muztarib zindagi hamari hai
zulm hota hai be-gunahon par
silsila aaj bhi ye jari hai
kab samajhte hain qaum ka wo dard
qaum ki jin pe Theke-dari hai
kaun kahta hai paD gaya halka
jhuT par sach to ab bhi bhaari hai
baat tujh se adab ki kya karna
mal-o-daulat ka tu pujari hai
mal mein tere mal-dar-e-waqt
muflison ki bhi hisse-dari hai
dost sab ke nahin hain hum 'yasin'
jis se yari hai us se yari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.