KHauf sa phir labon pe tari hai
ḳhauf sā phir laboñ pe taarī hai
ik ajab kaifiyat hamārī hai
aao badleñ nizām-e-gulshan ham
kuchh hamārī bhī zimmedārī hai
raushnī haq ke ek jugnū kī
saiñkaḌoñ zulmatoñ pe bhārī hai
aap kā to koī javāb nahīñ
aa.iye ab hamārī baarī hai
jashn-e-tadfīn-e-ārzū-e-visāl
aur sāñsoñ kā raqs jaarī hai
vasl kā ek qīmtī lamha
hijr kī muddatoñ pe bhārī hai
vahshat-e-ishq meñ suno ham ne
din sameTā hai shab utārī hai
qahqahoñ kā nagar tumheñ sauñpā
dard par saltanat hamārī hai
ġhalatiyāñ aap se nahīñ hotīñ
kyā farishtoñ se rishta-dārī hai
aap suniye 'shahāb' ko bhī kabhī
goyā ilhām-e-rabt jaarī hai
KHauf sa phir labon pe tari hai
ek ajab kaifiyat hamari hai
aao badlen nizam-e-gulshan hum
kuchh hamari bhi zimmedari hai
raushni haq ke ek jugnu ki
sainkaDon zulmaton pe bhaari hai
aap ka to koi jawab nahin
aaiye ab hamari bari hai
jashn-e-tadfin-e-arzu-e-visal
aur sanson ka raqs jari hai
wasl ka ek qimti lamha
hijr ki muddaton pe bhaari hai
wahshat-e-ishq mein suno hum ne
din sameTa hai shab utari hai
qahqahon ka nagar tumhein saunpa
dard par saltanat hamari hai
ghalatiyan aap se nahin hotin
kya farishton se rishta-dari hai
aap suniye 'shahab' ko bhi kabhi
goya ilham-e-rabt jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.