KHauf warna to kis ke bas ka hai
ḳhauf varna to kis ke bas kā hai
shahr ko hādsoñ kā chaskā hai
varna ham jism tak bhī aa jaate
mas.ala ruuh kī havas kā hai
aadmī to ḳhudā ke bas kā nahīñ
par ḳhudā aadmī ke bas kā hai
ik zarūrat hai us ke pahlū meñ
aur badan sab kī dastaras kā hai
mundamil zaḳhm ristā rahtā hai
shā.iba daaġh par bhī pas kā hai
ishq sahrā nahīñ bagūlā hai
aur safar ret ke qafas kā hai
KHauf warna to kis ke bas ka hai
shahr ko hadson ka chaska hai
warna hum jism tak bhi aa jate
masala ruh ki hawas ka hai
aadmi to KHuda ke bas ka nahin
par KHuda aadmi ke bas ka hai
ek zarurat hai us ke pahlu mein
aur badan sab ki dastaras ka hai
mundamil zaKHm rista rahta hai
shaiba dagh par bhi pas ka hai
ishq sahra nahin bagula hai
aur safar ret ke qafas ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.