KHayal aaya to ro paDega bas ek fasana hua karenge
ḳhayāl aayā to ro paḌegā bas ik fasāna huā kareñge
agar ham ik martaba uThe to kahāñ tujhe phir milā kareñge
savāl ham par uThā kareñge ham aise mazlūm kyā kareñge
har ek dar par jhukā kareñge sabhī butoñ ko ḳhudā kareñge
ye ḳhushk nazreñ jinheñ zamāna ujaaḌ sahrā samajh rahā hai
kabhī nazar bhar ke dekho in meñ ka.ī samundar dikhā kareñge
hamāre siine kī aag hai jis kī raushnī meñ tū chal rahā hai
tujhe ḳhabar bhī na ho sakegī tire hī andar jiyā kareñge
na jaane kaisī ye tishnagī hai jahāñ na thī ret bhī mayassar
vahīñ pe dariyā sā kuchh dikhā hai usī kī jānib chalā kareñge
vo zindagī jo kabhī hamārī thī aur ab merī bhī nahīñ hai
use basar kis qadar hai karnā milo kabhī mashvara kareñge
ka.ī marāsim haiñ tujh se pyāre mohabbateñ bhī adāvateñ bhī
tujhī ko kosā kareñge aksar tire hī haq meñ duā kareñge
KHayal aaya to ro paDega bas ek fasana hua karenge
agar hum ek martaba uThe to kahan tujhe phir mila karenge
sawal hum par uTha karenge hum aise mazlum kya karenge
har ek dar par jhuka karenge sabhi buton ko KHuda karenge
ye KHushk nazren jinhen zamana ujaD sahra samajh raha hai
kabhi nazar bhar ke dekho in mein kai samundar dikha karenge
hamare sine ki aag hai jis ki raushni mein tu chal raha hai
tujhe KHabar bhi na ho sakegi tere hi andar jiya karenge
na jaane kaisi ye tishnagi hai jahan na thi ret bhi mayassar
wahin pe dariya sa kuchh dikha hai usi ki jaanib chala karenge
wo zindagi jo kabhi hamari thi aur ab meri bhi nahin hai
use basar kis qadar hai karna milo kabhi mashwara karenge
kai marasim hain tujh se pyare mohabbaten bhi adawaten bhi
tujhi ko kosa karenge aksar tere hi haq mein dua karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.