KHayal andar hi andar mar gaya hai
ḳhayāl andar hī andar mar gayā hai
tirā ġham mujh ko pāgal kar gayā hai
ḳhushī āñkhoñ meñ aañsū khīñchtī hai
samajh lo dil dukhoñ se bhar gayā hai
talab us ko na hogī bhuuk kī ab
mirī jānib se luqma tar gayā hai
tabāhī meñ ga.iiñ dīvāreñ ghar kī
na khiḌkī hī na koī dar gayā hai
paḌī hai gahre dukh kī zarb dil par
mukammal jis se dard-e-sar gayā hai
palaT aanā na ho mumkin jahāñ se
musāfir us masāfat par gayā hai
maiñ us ko chhoḌ duuñ sochā nahīñ hai
vo aisā soch kar hī Dar gayā hai
vo aa.egā to us se baat hogī
jo ab ke chhuTTiyoñ meñ ghar gayā hai
KHayal andar hi andar mar gaya hai
tera gham mujh ko pagal kar gaya hai
KHushi aankhon mein aansu khinchti hai
samajh lo dil dukhon se bhar gaya hai
talab us ko na hogi bhuk ki ab
meri jaanib se luqma tar gaya hai
tabahi mein gain diwaren ghar ki
na khiDki hi na koi dar gaya hai
paDi hai gahre dukh ki zarb dil par
mukammal jis se dard-e-sar gaya hai
palaT aana na ho mumkin jahan se
musafir us masafat par gaya hai
main us ko chhoD dun socha nahin hai
wo aisa soch kar hi Dar gaya hai
wo aaega to us se baat hogi
jo ab ke chhuTTiyon mein ghar gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.