KHayal-e-anjam-e-arzu tha ki ek jhonka tha tez lu ka
KHayal-e-anjam-e-arzu tha ki ek jhonka tha tez lu ka
Ehsan Darbhangavi
MORE BYEhsan Darbhangavi
ḳhayāl-e-anjām-e-ārzū thā ki ek jhoñkā thā tez lū kā
jhulas gayā vo hasīn paudā jo nāz-parvarda thā numū kā
hazāroñ is mai-kade meñ aa kar chale ga.e tishnagī bujhā kar
magar mirā nāz-e-tishna-kāmī tavāf kartā rahā subū kā
hikāyat-e-chashm-e-nāz tujh se hadīs-e-rāz-o-niyāz tujh se
ye soz tujh se ye saaz tujh se ki tū muharrik hai aarzū kā
nazar ke jaadū sulā diye haiñ diloñ ke sho.ale bujhā diye haiñ
hijāb ham ne uThā diye haiñ tilism toḌā hai rañg-o-bū kā
hasīn hoñToñ kī thartharāhaT se dahan-e-shā.ir meñ thartharī hai
surūr chhāyā huā hai dil par kisī kī ḳhāmosh guftugū kā
haqīqat aa.egī sāmne jab to phir fasāna kahāñ rahegā
tumhārā afsūñ rahe salāmat tilism toḌo na rañg-o-bū kā
tabī.at ik anjuman banī hai hayāt 'ehsā۔n' dulhan banī hai
tamām duniyā chaman banī hai ye faiz hai kis kī aarzū kā
KHayal-e-anjam-e-arzu tha ki ek jhonka tha tez lu ka
jhulas gaya wo hasin pauda jo naz-parwarda tha numu ka
hazaron is mai-kade mein aa kar chale gae tishnagi bujha kar
magar mera naz-e-tishna-kaami tawaf karta raha subu ka
hikayat-e-chashm-e-naz tujh se hadis-e-raaz-o-niyaz tujh se
ye soz tujh se ye saz tujh se ki tu muharrik hai aarzu ka
nazar ke jadu sula diye hain dilon ke shoale bujha diye hain
hijab hum ne uTha diye hain tilism toDa hai rang-o-bu ka
hasin honTon ki thartharahaT se dahan-e-shair mein tharthari hai
surur chhaya hua hai dil par kisi ki KHamosh guftugu ka
haqiqat aaegi samne jab to phir fasana kahan rahega
tumhaara afsun rahe salamat tilism toDo na rang-o-bu ka
tabiat ek anjuman bani hai hayat 'ehsa۔n' dulhan bani hai
tamam duniya chaman bani hai ye faiz hai kis ki aarzu ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.