KHayal-e-azm-e-safar iKHtiyar karta hai
ḳhayāl-e-azm-e-safar iḳhtiyār kartā hai
mire liye bhī koī intizār kartā hai
vo āsmāñ ke sitāroñ meñ chāñd jaisā hai
vahāñ se ghar ke añdheroñ pe vaar kartā hai
jise bhulānā hī maqsad mirī hayāt kā thā
mirā vajūd use ab bhī pyaar kartā hai
tire baġhair mirī ḳhvāhisheñ adhūrī haiñ
tirā hī zikr mujhe be-qarār kartā hai
maiñ jāntā huuñ vo va.ade ko bhuul jaatā hai
ye sach hamesha mujhe ashk-bār kartā hai
udaas gaañv kī galiyoñ kā ek būḌhā faqīr
'shakīl' mujh pe savāloñ ke vaar kartā hai
KHayal-e-azm-e-safar iKHtiyar karta hai
mere liye bhi koi intizar karta hai
wo aasman ke sitaron mein chand jaisa hai
wahan se ghar ke andheron pe war karta hai
jise bhulana hi maqsad meri hayat ka tha
mera wajud use ab bhi pyar karta hai
tere baghair meri KHwahishen adhuri hain
tera hi zikr mujhe be-qarar karta hai
main jaanta hun wo wade ko bhul jata hai
ye sach hamesha mujhe ashk-bar karta hai
udas ganw ki galiyon ka ek buDha faqir
'shakil' mujh pe sawalon ke war karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.