KHayal-e-hijr mein ab jo bhi saneha hoga
ḳhayāl-e-hijr meñ ab jo bhī sāneha hogā
vahī to phir se nayā ek silsila hogā
kise ḳhabar thī ki is raushnī kī chādar meñ
hamārā ishq meñ phūloñ se rābta hogā
amīr-e-shahr ko paiġhām mil bhī jaa.e to
ġharīb-e-shahr kā koī na aasrā hogā
na.e ufuq se gurezāñ na ho mire hamdam
purānī soch se ab ye na faisla hogā
ḳhudā kā shukr duā.eñ jo rañg laa.ī haiñ
likhūñgī lafz maiñ jo bhī vo barmalā hogā
suneñge log ye jab bhī mirī kahānī ko
hisār-e-zāt ke qaidī kā mājrā hogā
ajiib haal hai andar kī ḳhalfashārī kā
kise ḳhabar thī ki aisā ye hādisa hogā
KHayal-e-hijr mein ab jo bhi saneha hoga
wahi to phir se naya ek silsila hoga
kise KHabar thi ki is raushni ki chadar mein
hamara ishq mein phulon se rabta hoga
amir-e-shahr ko paigham mil bhi jae to
gharib-e-shahr ka koi na aasra hoga
nae ufuq se gurezan na ho mere hamdam
purani soch se ab ye na faisla hoga
KHuda ka shukr duaen jo rang lai hain
likhungi lafz main jo bhi wo barmala hoga
sunenge log ye jab bhi meri kahani ko
hisar-e-zat ke qaidi ka majra hoga
ajib haal hai andar ki KHalfashaari ka
kise KHabar thi ki aisa ye hadisa hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.