KHayal-e-yar ka maskan hai sahab
ḳhayāl-e-yār kā maskan hai sāhab
ye dil anvār kā maḳhzan hai sāhab
khuleñ asrār kaise zindagī ke
nigāhoñ par paḌī chilman hai sāhab
pasīna aa gayā qaus-e-quzah ko
baḌā rangīn pairāhan hai sāhab
tirī āvāz-e-pā samjhā thā jis ko
mire hī dil kī ye dhaḌkan hai sāhab
faqat kī thī himāyat sach kī maiñ ne
ye duniyā jaan kī dushman hai sāhab
na jā.ūñ chhoḌ kar hindostāñ maiñ
mire ajdād kā āñgan hai sāhab
dabā rakkhā hai maiñ ne ḳhvāhishoñ ko
ye dil ehsās kā madfan hai sāhab
KHayal-e-yar ka maskan hai sahab
ye dil anwar ka maKHzan hai sahab
khulen asrar kaise zindagi ke
nigahon par paDi chilman hai sahab
pasina aa gaya qaus-e-quzah ko
baDa rangin pairahan hai sahab
teri aawaz-e-pa samjha tha jis ko
mere hi dil ki ye dhaDkan hai sahab
faqat ki thi himayat sach ki main ne
ye duniya jaan ki dushman hai sahab
na jaun chhoD kar hindostan main
mere ajdad ka aangan hai sahab
daba rakkha hai main ne KHwahishon ko
ye dil ehsas ka madfan hai sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.