KHayal-e-yar ka raushan jo hai diya na bujha
ḳhayāl-e-yār kā raushan jo hai diyā na bujhā
rah-e-hayāt meñ is se hī hai ziyā na bujhā
jo pyaas hī hai muqaddar mirā to phir saaqī
piyāla rahne de ye tishnagī baḌhā na bujhā
shab-e-visāl hai dam le zarā numūd-e-sahar
Thahar abhī se sitāroñ kā silsila na bujhā
kabhī lagā.ī thī tū ne jo dīda-o-dil meñ
hai iḳhtiyār tujhe aag ye bujhā na bujhā
batā do us ko ki har daur ke ḳhudāoñ ne
bujhāyā laakh magar sho.ala-e-navā na bujhā
KHayal-e-yar ka raushan jo hai diya na bujha
rah-e-hayat mein is se hi hai ziya na bujha
jo pyas hi hai muqaddar mera to phir saqi
piyala rahne de ye tishnagi baDha na bujha
shab-e-visal hai dam le zara numud-e-sahar
Thahar abhi se sitaron ka silsila na bujha
kabhi lagai thi tu ne jo dida-o-dil mein
hai iKHtiyar tujhe aag ye bujha na bujha
bata do us ko ki har daur ke KHudaon ne
bujhaya lakh magar shoala-e-nawa na bujha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.